Islamic Question Answer

Islamic Question Answer


Islamic Q&A - qadri_S_Khan

Sawal 

Non muslim hotel me agar ghost ki dish mangwaye aur ghost ko chod kar wo dish Khana kaisa.
Kya wo dish khaa sakte hain.

 Jawaab

Jis dish me gosht hai to na us gosht ka khana halal na us ke shorbe wagaira ko khana halal hai k wo gosht haram napaak hai to us napaak cheez ki wajah se sara khana na pak ho gaya.




Sawal

Kya Crab (khekde) ka business kar sakte hai, ya nahi.
Jisme crab (khekde) ke chote se bache ko bada karke becha jaata hai.

Jawaab

Agar uska jaayez istemaal bhi hota ho jaise dawa wagaira ke liye to uske buisness me koi harj nahi.




Sawal

Hazrat agar koi Sayyad wahabi, Deobandi ya shia ho Jaye.
To uske liye kya hukm hai?

Jawaab

Agar uski gumraahi hadd e kufr ko pahoch chuki to wo hargiz sayyed nahi na uski taazeem ki jaaye



Sawal

Kya hamal wali aurat ke pistaan se nikal ne wala dhood napaak hota hai.
Aur hamal ke baad wale ka hukm kya hai.


Jawaab

Doodh Na paak nahi balke paak Giza hai. Aur 2 saal tak ke baccho ko pilaya ja sakta hai


Sawal

Agar MAA baap ke dil me duniya ki mohabbat Bassi ho.

To aulad ko kya Karna Chahiye.
MAA baap ke faisle Par ager wo duniya vi hoto.

Deen me Uska koi masla na ho to us sorat me.

Jawaab

Walidain duniyawi hain phir bhi un ki tazeem lazim hai. Aur unhe Takleef dena gunah. Haan Agar koi khilaf e shara hukm den to us par amal na kare aur walidain ko sahi hukm e shara se agaah kare aur unhe hidayat karta rahe magar un se qata e Ta'lluq na kare.



Sawal

Humare ek dost hain woh Italy mein rehte hain aur doctor hai.

Woh kuch paise aur tohfe dena chahte hai apni marzi se.
Iska lena kaisa hain?

Koi aur mazhab ke manne wale hain.


Jawaab

Agar Us ke badle koi ehsan jataana ya kuch aur Sazish na ho to Maal e Ganeemat samajh kar le len



Sawal

Hazrat was waso se bachne ke Liye kya amal karna chahiye.
Bahot bar ese was wase aate he jisme ma'azal lah huzur ki shaan m bhot badi gustakhi ho jati hai
Kaii bar maazallah huzur ke bare me Gande khayal aate he.
Ek aalim saheb ne kaha tha tisra kalma pado.
Lekin usse was wase nahi jaa rahe.
Lihaza hazrat koi amal aisa bataye jisse iman ki salamti rahe or huzur ki sachhi gulami naseeb ho. 
Or aap humare Haq me dua kare ki hume maula kareem ki sachhi gulami naseeb ho or ALLAH kareen deeno sunniyat ka koi kaam lele....

Jawaab

Laa haul shareef ki kasrat karen. Khususan suraj doobne se pehle 60 martaba lahaul sharif parha karen.

○●●●●●●●●●●●●○
📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Ridawi Amjadi Dar Al-Ifta
Barkati Islamic Centre Mumbai .



Comments