10 shawwal youm e wiladat Imaam Aala hazrat Rehmatullah Alaihe wa Ridwaan
*ISHQ O MOHABBAT ISHQ O MOHABBAT Aala HAZRAT Aala HAZRAT*
یوں تو کئی حضرت ہوئے پیدا زمینِ
ہند پہ لیکن سب سے الگ سب سے جدا
💟میرا رضا میرا رضا💟
..:: AALAHAZRAT IMAM AHMAD RAZA KHAN ::..
Birth: 10th Shawwal 1272 / 14th June 1856
4 Years: First completion of Qur'an recitation
5 Years: First speech in Rabi al-Awwal
12 Years: First Work in Arabic
13 Years: Graduation (13 Years, 10 months and 5 days) + Begins to Teach and Issue Legal Edicts Under Supervision
19 Years: Marriage
20 Years: Birth of Eldest Son: Mawlana Hamid Raza Khan
21 Years: Permission to Issue Legal Edicts Independently
22 Years: Tariqah - Initiation and Permission to Initiate (Ba'yat/Khilafat) + First Urdu Work
23 Years: First Hajj and Visit to the Two Sanctuaries + Ijazah in Hadith from Shaykh Ahmed Zayni Dahlan al-Makki, Shaykh Abd ar-Rahman al-Siraj and Shaykh Husayn Salih Jamal al-Layl (Alayhim ar-Rahmah)
26 Years: First Persian Work
35 Years: Subhan as-Subbuh
38 Years: Birth of Second Son: Mawlana Mustafa Raza Khan
39 Years: Attends the Inaugural Session of Nadwatul Ulama in Kanpur
41 Years: Al-Fadl al-Mawhibi
43 Years: Dissociation from the Nadwah Movement
45 Years: Refutation of Qadiyani False Prophet + Refutation of Nadwah: Fatawa Al-Haramayn
46 Years: Hailed as Mujaddid/Reviver of the age by Indian Scholars
48 Years: Al-Mustanad Al-Mu'tamad
50 Years: Establishment of the School Manzar-e-Islam in Bareilly + Begins Compilation of Fatawa ar-Ridawiyyah
51 Years: Second Hajj and Visit to the Two Sanctuaries
52 Years: Ijazah of Hadith Given to Scholars in Makkah and Madinah + Attestations on his Fatwa and Husam al-Haramayn + Al-Dawlatul Makkiyyah and Endorsements + Return From Hajj
53 Years: Collection of Poetry Hadaiq-e-Bakhshish in 2 Volumes
54 Years: Hadd al-Mumtar, A glossary on Radd al-Muhtar in 5 Volumes + Tamheed-e-Iman
58 Years: Translation of the Qur'an: Kanzul Iman
62 Years: Refusal to Attend a British Court and Exemption
64 Years: Establishment of Organization: Raza-e-Mustafa
66 Years: Refutation of Albert Porta’s Doomsday Prediction
67 Years: Illness and relocation to Nainital in Ramadan
68 Years: Passing Away on 25th Safar 1340 / 28th October 1921
Note: Imam Ahmad Raza’s age according to the lunar calendar is 68 years and the solar calendar is 65 years. Age computed above is according to the lunar calendar.
6 Saal ki Umr Sharif Me AalaHazrat Ne Baghdaad
Sharif ki Sim't Maloom ki Fir Aapne Aakhiri Dum tak Bagdaad Sharif ki Jaanib Pao Na phailaye.
Kisi Ne AalaHazrat ko Hafiz Likha Aapne Farmaya:
Main Kis kis ko Hafiz Kehne Se Mana Karu Lihaza Aapne Sirf 1mahine me Pura Qur'an Hif'z Kiya 8 Sal Ki Umr Me Arbi Zuban Me 1
Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Diya.
Aap 13 saal,10 Maah,5din ki Umr Sharif Me
19/11/1869 ko Aalim-O-Mufti Ban Gaye the.
13 Sal 10 Mah Ki Umr Me pehla Fatwa Likha. AalaHazrat ko
2 Bhai, 2 Bahen,
2 Bete, 5 Betiya,
3 Pote, 10 Potiya,
3 Fufiya'n
Allah ne ata farmaayeen.
Aapka Silsila Aulad Aapke Bete Haamid "Raza khan" Se Chala. AalaHazrat Ne Apne
Tamam Beto Aur Bhatijiyo'n Ka ek Hi Naam Rakha tha "MOHAMMAD" Aur Urfiyat
(Pehchan) Alag Rakhi thi
(📚Tazkira Aala Hazrat) AalaHazrat Ke Bade Bete Hazrat Hamid Raza sb Ka
INTEQAL Halate Namaz Me Hua Tha.
Unke Bare Me AalaHazrat Ne Farmaya "Hamid Mujh Se Hai Aur Mai Hamid Se Hun." AalaHazrat ke Taqrir-Tahrir Me Jo Sakhti thi Wo Sirf Huzoor ke Gustakho ke Liye.
Huzoor ke Wafadaro ke Liye To Aap Abre- karam the. AalaHazrat ka Zaahir-O Baatin Ek Jaisa tha Jo DiL Me
Hota Wahi Zuban Se Zahir Farmate. Aapki kisi Se Dosti Dushmani Sirf ALLAH-O-
RASOOL
Ke Liye Hoti.
Ek Rafzi (shiya) Haidrabad Se Huzoor AalaHazrat Ko
Milne Aaya Aapne Uski Jaanib Dekhna Bhi Pasand Na Farmaya,Chu'nki Wo Sahaba ka Gustaakh tha. Jab
AalaHazrat ke Yaha "Mehfile Milaad" Hoti
To Aap Sayyado ko Dugna "NAZRANA" Ata Farmate.
AalaHazrat Hamesha Sayyado ka Ehtaraam Farmate the Aap Mureed Bhi Hue To "Marehra Sharif" me Huzoor
Sayyad Aale Rasool Ahmadi se hue.
AalaHazrat ke Peer Ne Farmaya:
Qayamat me ALLAH Pak Puchega AE AALE RASOOL Tu Kya Laya Hai Main Kahunga.
ALLAH Main Ahmad Raza (AalaHazrat) Laya Hoon. Deeni kamo Se Fursat ke baad Jab AalaHazrat Aaram Farmate To Sone ka Andaaz ye Hota ki Nam-E-Pak
"MOHAMMAD"
Ka Naqsha Ban Jaata.
Huzoor ki Tazeem
Unki Aal(awalad) Se Mohabbat
Unse Judi Har Cheez Se Pyar AalaHazrat ka Maq'sade Zindagi thi,Aur Yahi Sachche Aashiq ki Pehchan Hai.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
{Huzur Aala Hazrat Aur Musawaat E Islami}
Janab Syed Ayyub Ali Sahab Ka Bayan Hai K Ek Sahab Jinka Naam Mujhe Yaad Nahin Huzur Ki Khidmat Mein Hazir Hua Karte The Aur Aala Hazrat Bhi Kabhi-Kabhi Unke Yahan Tashreef Le Jaya Karte The, Ek Martaba Huzur Unke Yahan Tashreef Farma The K Unke Mohalle Ka Ek Bechara Ghareeb Musalman Tooti Huyi Purani Chaarpaayi Par Jo Sehan Ke Kinaare Padi Thi, Jhijhakte Huye Baitha Hi Tha K Sahab E Khaana Ne Nihayat Kade Tewaron Se Uski Taraf Dekhna Shuru' Kiya, Yahan Tak K Woh Nadaamat Se Sar Jhukaye Uthkar Chala Gaya, Huzur Ko Sahab E Khaana Ki Is Maghrooraana Rawish Se Sakht Takleef Pahunchi, Magar Kuchh Farmaya Nahin,
Kuchh Dinon Ke Baa'd Woh Huzur Ke Yahan Aaye, Huzur Ne Apni Chaarpaai Par Jagah Di, Woh Baithe Hi The K Itne Mein Kareem Bakhsh Hajjaam, Huzur Ka Khat Banane Ke Liye Aaye, Woh Is Fikr Mein The K Kahan Baithun. Huzur Ne Farmaya K Bhai Kareem Bakhsh Kyun Khade Ho? Musalman Aapas Mein Bhai-Bhai Hain Aur Un Sahab Ke Barabar Baithne Ka Ishaara Farmaya, Woh Baith Gaye, Phir Un Sahab Ke Ghusse Ki Yeh Kaifiyat Thi K Jaise Saanp Phunkaarein Maarta Hai Aur Fauran Uthkar Chale Gaye, Phir Kabhi Na Aaye, Khilaaf E Ma'mool Jab Arsa Guzar Gaya To Huzur Ne Farmaya, Ab Fulaa(n) Sahab Tashreef Nahin Laate Hain, Phir Khud Hi Farmaya, Main Bhi Aise Mutakabbir Maghroor Shakhs Se Milna Nahin Chahta.
رضى الله تعالى عنه
[Huzur Malikul Ulama Allama Zafaruddin Bihari (Alaihir Rehmatul Baari),
Hayaat E Aala Hazrat, Hissa 1, Saf'ha 152-153, Idaara Tarweej O Isha'at, Masjid Noorul Islam, Bolton]
🍃💐🍃💐🍃💐🍃
"DEEN KA DUSHMAN HO YA HO DOST SAB KE WAASTE_
HAI TERI HAQ GO ZUBAAÑ AHMED RAZA KHAÑ QADRI"
*HAZRAT MAULANA JAMEEL E QADRI SAHAB
ALAIHIR REHMAH
🍃💐🍃💐🍃💐🍃
*REMINDER*
TONIGHT
*10 SHAWWAL_UL MUKARRAM,
*TAAREEKH E WILAADAT E MUBARAK,
*SARKAR AALA HAZRAT,
*AZEEMUL BARKAT,
*AZEEMUL MARTABAT,
HAZRAT ALLAMA MUFTI ASHSHAAH MUHAMMED AHMED RAZA KHAÑ
QADRI BARKAATI FAAZIL E BAREILVI
REHMATULLAHI TA'ALA ALAIHI
Comments