Maul Ali ki Shaan 21 Ramzan Youm e Shahadat

Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi :

                 *KAUN ALI*

*_JINKI WELADAT KAABA. SHARIF ME HUI.!!_*

                 *KAUN ALI*

*_JO BACCHO ME SABSE PAHELE IMAAN LAAYE.!!_*

                  *KAUN ALI*

*_WAHI ALI JINKE LIYE MERE AAQA TAAJDAR E MADINA ﷺ NE FARMAYA.!!_*

*_ANA MADINATUL ILMI WA ALI UL BA BOHA.!!_*

*_MAI ILM KA SHAHER HU AUR ALI USKA DARWAZA HAI.!!_*

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
                   *KAUN ALI*

*_KE JINKI SHARIK E HAYAAT KHATOON E JANNAT HUI.!!_*

                  *KAUN ALI*

*_JINHE DAAMAD E RASOOL ﷺ HONE KA SHARF ATAA HUA.!!_*

🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴
                 *KAUN ALI*

*_WAHI ALI JISNE JUNG E KHAIBAR ME KAI TAN KA DARWAZA. EK HAANTH SE UKHAAD KAR FENK DIYA.!!_*
💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻💪🏻

                 *KAUN ALI*

*_WAHI ALI JISNE APNA LAKHTE JIGAR AAQA IMAAM E HUSSAIN RAZIALLAHU ANHO KO KARBALA ME QURBAAN KAR DIYA.!!_*

*_HAA WAHI ALI E MURTUZA KARAMULLA WAJHUL KAREEM KA AAJ YAUM E WESAAL E PAAK HAI.!!_*

❣❣❣❣❣❣❣❣❣❣❣


*_AAIYE H HAM SAB APNI KALAM SE KUCH ASHAR UNKI BARGAH ME PESH KARKE APNI GULAMI KA SABOOT DEIN.!!_*

💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞💞
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Riza, Imaam e Jaamin.

**********
Aap ki wilaadat 11 Zil Qa’ada 148 Hijri (29 December 765 A.D.) ko Madeena me hui.

Aap ke waalid ka naam Imaam Moosā al-Kaazim bin Imaam Jaafar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Najmah hai.

**********
Aap Aa'imma e Ahle bait ke 8we Imaam hain.
Aap 183 Hijri (799 A.D.) me apne waalid ke wisaal ke baad Imaam bane.

**********
Aap ki biwi ka naam Sabeekah Khaizarān hain.
Aap ke saahabzaade Imaam Ala-ud-deen Muhammad al-Jawwaad al-Taqi hain.

**********
Aap ke khalifa Hazrat Imaam Muhammad at-Taqi rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Ma’aroof al-Kharkhi rahmatullāhi alaihi hain.

**********
Aap ka Ilm, Ibaadat, Husn e akhlaaq, aur Sakhaawat mash'hoor hai.

Aap akṡar Roza rakhte the.
Zyada waqt Ibaadat aur Zikr e ilāhi me guzaarte.
Har 3 din me Qur’an majeed mukammal karte the.
Aap gareebo aur mohtaajo ko imdaad karte rehte the aur raat ke waqt posheeda rehkar logo ko khufiya madad karte the.

Ek baar al-Ma’amoon ne Mubaahisa ke liye aalimo ko jama kiya. Aap bhi us me saamil hue aur apne ilm se bahot saare mauju par logo ko sahi taaleem ata farmai.

**********
Imaam banne ke baad Abbasi Khalifa Hāroon al-Rasheed ne aap ko takleef dena shuru kiya aur ahle Madeena ko aap ko milne se rokne ka farmaan kiya. Us ne kai baar Imaam ko qatl karne ki nakaam koshish ki.

193 Hijri (809 A.D.) me Hāroon al-Rasheed ke inteqaal ke baad us ke 2 bete al-Ameen aur al-Ma’amun ke darmiyaan hukoomat haasil karne ke liye jung ke haalaat paida hue. al-Ma’amun ne Imaam ko milne ke liye Faars (Iran) bulaaya. Aap apni biwi aur saahabzaade ko Madeena me chhodkar Aap Merv jaane ke liye rawaana hua.

Apne bhai ko haraane ke baad al-Ma’amoon ne Imaam ko apna Khalifa banne ke liye darkhwashaat ki. Us ka iraada ye tha ke is se awaam ki nazar me khud ki izzat badhe aur log baghaawat na kare. Magar Aap ne inkaar kiya.

***********
Jab Aap Madeena se Merv ka safar kar rahe the tab safar ke dauraan jangal me ek hirni bhaagkar Aap ke paas aai aur kuchh kehne lagi. Us ke pichhe ek shikaari tha. Jab wo shikaari qareeb aaya to aap ne us se kaha ‘Tum is hirni ko jaane do. Wo apne bacho ko doodh pilakar waapas aa jaayegi.’ Us ne Imaam ke farmaan par hirni ko jaane diya. Aur Imaam ke saath usi jagah par hirni ka intazaar karne laga. Magar wo soch raha tha ke hirni waapas nahi aayegi. Kuchh waqt ke baad wo hirni apne bacho ko saath lekar waha aa pahunchi. Ye dekhkar use ta’ajjub hua. Aur Imaam ki ta’azeem ki khaatir us ne hirni aur us ke bacho ko aazad kar diya.


**********
Aap ke wisaal se pehle Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Aap ke khwaab me tashreef laaye aur farmaaya ‘Kal hamare paas tashreef laao. Yaha jo hai wo us haalaat se behtar hai jis me filhaal tum ho.’

Aap ki aankh khuli to Aap ne apne saathi Harsama ko bulaaya aur farmaaya ‘Meri shahaadat ka waqt qareeb hai. Mere inteqaal ke baad al-Ma’amoon ko mere ghusl wa tajheez me saamil na hone dena. Meri is wasiyat ka khayaal rakhna.’


************
Merv se Baghdad ki taraf safar ke dauraan Tus me al-Ma’amoon ne angoor me zeher milakar Imaam ko khilaaye. Jab aap ko apni shahaadat ka waqt qareeb hone ka pata chal gaya to aap apne dost Abu Salaat ke ghar me tashreef laaye aur foran sab qaalin hataane ke liye farmaaya aur kisi ko ghar ke andar aane se mana farmaaya aur farmaaya ‘Main chahata hu ke jab meri rooh nikle to apne daada Imaame Husain ki tarah zameen par rahu. Mere baad mere bete Muhammad ka khayaal rakhna.’

**********
Aap ka wisaal 21 Ramazaan 203 Hijri (23 August 818 A.D.) ko 55 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Mashhad (Iran) me hai.

**********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi ke waseele se aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek
jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Comments