Huzur Tajushshriah Poet

NAATH SHAREEF & MANQABATS
WRITTEN BY TAAJUSH SHARI'AH


His love for the Holy Prophet (Sallal Laahu Alayhi Wasallam) can be seen flowing in the beautiful and eloquent manner, he shows in writing Naats in praise of the Beloved Rasool (Sallal Laahu Alayhi Wasallam). These Naats which he has written in the love of the Prophet (Sallal Laahu Alayhi Wasallam) is proof enough of the deep love he possesses for the Master of the Green Dome Muhammadur Rasoolullah (Sallal Laahu Alayhi Wasallam). These Naats have been compiled to form the beautiful compilation called “Safeena-e-Bakhshish”. We present a few transliterations.


  • QASEEDA FIL-HAMDI WAMADHIN-NABI
  • DAAGH-E FURQAT-E-TAYBA  
  • FURQATE TAYBA KI WAH'SHAT DIL SE JAAYE KHAIR SE
  • MADINA AANE WALA HAI
  • ZEENATO SAJDA-O BAZME QAZAA MILTA NAHI (Manqabat on Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Mawlana Mustapha Raza Khan Al-Qaderi)
  • YA GHOUS AL-MADAD (Manqabat on Sultaanul Awliya, Ghaus-e-A'zam, Hazrat Sheik Abdul Qaadir Jilani)
  • CHALDIYE TUM AANK ME ASHKO KA DARYAA CHOR KAR (Manqabat on Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Mawlana Mustapha Raza Khan Al-Qaderi)
  • MUNAWWAR MERI AANKHON KO MERE SHAMSUD DUHAA KAR DEIN
  • SHAHENSHAAHE DO AALAM
  • TUM CHALO HUM CHALEIN
  • TERE DAAMANE KARAM MEIN
  • AAJ KI RAAT
  • NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH (SALLAL LAAHU ALAIHE WASALLAM)
  • MAST MA`E ALAST HAI
  • PEE KE JO MAST HO GAYA
  • DARE AHMAD
  • APNE DAR PE JO BULAAO
  • DOOR AY DIL RAHEIN
  • WOH BARHTAA SAAYA-E-REHMAT CHALAA
  • APNE RINDO KI ZIYAAFAT KEEJIYE
  • HAR NAZAR KAANP UTTHEGI
  • IS TARAF BHI IK NAZAR
  • TUMHEIN JIS NE BHI DEKHA (Manqabat on Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Mawlana Mustapha Raza Khan Al-Qaderi)
  • WAJ-HE-NISHAATE ZINDAGI
  • hamaare BAAGHE ARMAAN MAI
  • SHUJAA`AT NAAZ KARTI HAI (Manqabat in praise of Sayyiduna Imam Husain - Radi Allahu Anhu)
  • MUFTI-E-AAZAME DEENE KHAIRUL WARAA (Manqabat on Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Moulana Mustapha Raza Khan Al-Qaderi)
  • MAR KE JEENE KA
  • MERE ALLAH KE NIGAAR (SALAAM)
  • MUSTAFA-E-ZAATE YAKTAA AAP HAIN
  • WOH CHHAAEE GHATAA
  • FARISHTE JIS KE ZAA`IR HEIN



QASEEDA FIL-HAMDI WAMADHIN-NABI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari




ALLAH ALLAH ALLAHU, MAALI RABBUN ILLAHU

YAFNAL KULLU WA YABQAAHU, LAYSAL BAAQI ILLAHU

MAN KAANA DUAAHU AYYAAHU, ZAAKA HAMEEDUN UQBAAHU

MAN KAANA LI RABBI DUNYAAHU, AASHA SAEEDAN UKHRAAHU

MAN KUNTA ILAAHI MAWLAAHU, KULLUN NAASI TAWALLAAHU

MAM MAATA YAQULU ALLAHU, ZAAKAL KHAALIDU MAHYAAHU

RUSLULLAHI TALAQQAAHU, ABSHIR ABDU BIHUSNAAHU

AR RIDWAANU LAHU NUZULU, JANNATU KHULDIM MA`AWAAHU

TAKHSHAN NAASA BILAA JADWAA, HALLAA RABBAKA TAKHSHAAHU

IBGHIL AMNA LADAA RABBI, INNAL AMNA BITAQWAAHU

TANSAA RABBAKA YAA FAANI, DUM IN SHI`TA BIZIKRAAHU

TARJUN NAASA LIJAD WAAHUM, INNAL JADWAA JADWAAHU

HAL GHAYRAKA YAKHSHAA RABBI, GHAYRUKA RABBI YAKHSHAAHU

RABBI RABBUL IRBAABI, LAYSA YUDAAHA HAASHAAHU

FASIWAAHU RABBUM BIL ISMI, WA ILAAHUL HAQQI YAR AAHU

AL WAAHIDU LAYSA BIZI JUZ IN, LAA WAAHIDA HAQQAN ILLAHU

AL KHALQU MARAAYAA MAWJOODIN, LAA MAWJOODA ILLAHU

WAL KULLU MAZAAHIRU MASH HOODIN, LAA MASH HOODA ILLAHU

FARDU HAQQA ILAA HATUHU, LAA MA`ABOODA ILLAHU

WAN HALLA SALAATULLAHI ALAA, MAL LAYSA SHAFEE AN ILLAHU

MAM BIDDEENI AHYAANAA, HAYYALLAHU MUHAYYAHU

AMMAL KAWNA BIRAHMATIHI, KULLUR RUHMAA RUHMAAHU

WAZ DAANA BILAADULLAHI BIHI, FALKULLU (FALKOONU) ZALAAMU LAWLAHU

JAA`A JAMEELUR RAHMAANI, FASH KUR TAZDAD NA`AMAHU

HALLAL FAR HU BIMAWLIDIHI, FAFRAH HATTAA TALQAAHU

QAD NEETA HAYAATUL KAWNIBIHI, FAL KAWNU ADEEMU LAWLAAHU

YAA MAYYATLUBU RIDWAANAA, MARRIDWAHU ILLA IYYAHU

KULLI NABIYYILLAHI RIDAA, TAHZA LADAYHI BIZULFAAHI

INNAN NE`AMATA AHMADUNAA, YAA TAALIBA NE`AMATI MAWLAAHU

INNAN NE`AMATA AHMADUNAA, ALLAH ILAYNAA AHDAAHU

BI RASOOLILLAHI FAB TAHIJOO,FAHUWAL FADLU WA BUSHRAAHU

BILLAHI TA AYYADA NAASIRUNAA, LAA YAKH ZALUMAN QAD RAJJAAHU

ADRIK ABDAKA JEELAANI, MAN GHAYRUKA YAD FA`U BALWAAHU

WAYAZOORU SALAAMUR RAHMAANI, KHAYRA NABBIYYIN NABBAAHU

HAAZAA AKHTARU ADNAAKUM, RABBI AHSANA MASWAAHU




DAAGH-E FURQAT-E-TAYBA
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

DAAGH-E-FURQATE TAYBAH QALB MUZMAHIL JAATA
KAASH GUMBADE KHAZRAA DEKHNE KO MIL JAATA

MERA DAM NIKAL JAATA UNKE AASTANE PAR
UNKE AASTAANE KI KHAAK MAI MEIN MIL JAATA

MERE DIL SE DHUL JAATA DAAGHE FURQATE TAYBAH
TAYBAH MAI FANAA HO KAR TAYBAH MAI HI MIL JAATA

MAUT LE KE AA JAATI ZINDAGI MADEENE MAI
MAUT SE GALE MIL KAR ZINDAGI MAI MIL JAATA

KHULD ZAARE TAYBAH KA IS TARHA SAFAR HOTA
PEECHHE PEECHHE SAR JAATA AAGE AAGE DIL JAATA

DIL PE JAB KIRAN PARTI UNKE SABZ GUMBAD KI
USKI SABZ RANGAT SE BAAGH BUN KE KHIL JAATA

FURQATE MADEENAH NE WOH DI`E MUJHE SADME
KOH PAR AGAR PARTE KOH BHI TO HIL JAATA

DIL PE WOH QADAM RAKHTE NAQSHE PAA YEH DIL BANTA
YAA TO KHAAK-E-PAA BAN KAR PAA SE MUTTASIL JAATA

UN KE DAR PE AKHTAR KI HASRATEIN HUEE POORI
SAAILE DARE AQDAS KAISE MUNFA`IL JAATA




FURQATE TAYBA KI WAH?SHAT DIL SE JAAYE KHAIR SE
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

FURQATE TAYBA KI WAHSHAT DIL SE JAAYE KHAIR SE
ME MADINA KO CHALOO WO DIN PHIR AAYE KHAIR SE 

DIL MEIN HASRAT KOYEE BAAQI RAH NA JAAYE KHAIR SE
RAAHE TAYBA MEIN MUJHE YOON MAUT AAYE KAHIR SE 

MERE DIN PHIR JAAYE YA RABB SHAB WO AAYE KHAIR SE
DIL ME JAB MAAHE MADINA GHAR BANAAYE KHAIR SE 

RAAT MEREE DIN BANE UNKI BAQAAYE KHAIR SE
QABR ME JAB UNKI TAL?AT JAGMAGHAAYE KHAIR SE 

HE GHANEE KE DAR PE HUM BISTAR JAMAAYE KHAIR SE
KHAIR KE TALIB KAHAAN JAA?ENGHE JAAYE KHAIR SE 

WO KHIRAAME NAAZ FARMAAYE JO PAAYE KHAIR SE
KYA BAYAAN WOH ZINDAGEE?HO DIL JO PAAYE KHAIR SE 

MAR KE BI DILSE NAAJAAYE ULFAHT BAAGE NABEE
KHULD ME BI BHAAG JANAA YAAD AAYE KHAIR SE 

RANJO GHAM HON BENISHAAN AAYE BAHAAR BE KHIZAA
MERE DIL ME BHAAGE JANAA KI  HUWAAYE KHAIR SE 

ISTARAF BI DO QADAM JALWE KHIRAAM NAAZ KE
REH?GHUZAR ME HUM BI HE AANKHE BICHAE KHAIR SE 

HO MUJHE SEERE GHULISTAANE MADINA YOON NASEEB
ME BAHAARONME CHALOO KHUD KO GUMAAYE KHAIR SE 

ZINDABAAD AE ARAZOO-E-BAAGHE TAYBA ZINDABAAD
TERE DHUM SE HE ZAMAANE KE SITAAYE KHAIR SE 

NAJDIYO KEE CHEERA DUSTHEE YA ILAAHEE TA?BAKE
YE BALAAYE NAJD YE TAYBA SE JAAYE KHAIR SE 

JHAANHKLO AANKHO ME UNKEE HASRATE TAYBA LIYE
ZAA?ERE TAYBA ZIYAA?E TAYBA LAAYE KHAIR SE 

HE YE TAYBA KA PAYAAME TAALIBE AAISHE DAWAAM
JAN?NATE TAYBA ME AAHISTEE MITAAYE KHAIR SE 

SANGHE DAR SE AA MILE TAYBA ME ABTOJAA MILE
AAGAYE DAR PE TERE, TERE DAR PE BULAAYE KHAIR SE 

GHOSH BAR AAWAAZ HU QUDSEE BI ISKE GHEET PAR
BAAGHE TAYBA ME JAB AKHTAR GHUNGHUNAAYE KHAIR SE




MADINA AANE WALA HAI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

SAMBHAL JAA AI DILE MUZTAR MADEENAH AANE WAALA HAI
LUTAA AI CHASHME TAR GOHAR MADEENAH AANE WAALA HAI

QADAM BAN JAAEY MERA SAR MADEENAH AANE WAALA HAI
BICHHOON REH MAI NAZAR BAN KAR MADEENAH AANE WALA HAI

JO DEKHEIN UN KA NAQSHE PAA KHUDA SE WOH NAZAR MAANGOON
CAARAAGHE DIL CHALOON LEKAR MADEENAH AANE WAALA HAI

KARAM UNKA CHALAA YOON DIL SE KEHTA RAAHE TAYBAH MEIN
DILE MUZTAR TASALLI KAR MADEENAH AANE WAALA HAI

NICHHAAWAR HAI MADEENE KI YEH MERA DIL MERI AANKHEN
NICHHAAWAR HOON MADEENAH PAR MADEENAH AANE WAALA HAIN

ILAAHI MAIN TALABGAARE FANAA HOON KHAAKE TAYBAH MAIN
ILAAHI KAR NISAARE DAR MADEENAH AANE WAALA HAI

MADEENE KO CHALA MEI BENIYAAZE REHBARE MANZIL
RAHE TAYBAH HAI KHUD REHBAR MADEENAH AANE WAALA HAI

MUJHE KHEENCHE LIYE JAATAA HAI SHOUQE KOONCHA'E JAANA
KHINCHAA JAATA HOON MEIN YAKSAR MADEENAH AANE WAALA HAI

WOH CHAMKA GUMBADE KHAZRAA WOH SHEHRE PUR ZIYAA AAYA
DHALE AB NOOR MAIN PEKAR MADEENAH AANE WAALA HAI

JAHAAN SE BEKHABAR HO KAR CHALO KHULDE MADEENAH MAIN
CHALO AB HOSH KI PEEKAR MADEENAH AANE WAALA HAIN

MADEENE MEIN KHULE BAABE HAYAATE NAU BATARZE NAU
BADAL DAALO KOHAN DAFTAR MADEENAH AANE WAALA HAI

ZARA AI MARKABE UMRE RAWAAN CHAL BARQ KI SOORAT
DIKHA PARWAAZ KE JOWHAR MADEENAH AANE WAALA HAI

TALABGAARE MADEENAH TAK MADEENAH KHUD HI AAJAAEY
TU DUNIYA SE KINAARA KAR MADEENAH AANE WAALA HAI

MADEENAH AAGAYA AB DER KYA HAI SIRF ITNI SI
TU KHAALI KAR YEH DIL KA GHAR MADEENAH AANE WAALA HAI

FALAK SHAAYAD ZAMEEN PAR REHGAYA KHAAKE GUZAR BANKAR
BICHHE HAI RAAH MEIN AKHTAR MADEENAH AANE WAALA HAI

GHUBAARE RAAHE ANWAR KIS QADAR PURNOOR HAI AKHTAR
TANI HAI NOOR KI CHAADAR MADEENAH AANE WAALA HAI.




ZEENATO SAJDA-O BAZME QAZAA MILTA NAHI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

ZEENATO SAJDA-O BAZME QAZAA MILTA NAHEIN
LALE YAKTA-E-SHAHE AHMED RAZA MILTA NAHEIN 

WO JO APNE DOR KA SADEEQ THA MILTA NAHEIN
MAHRAME RAAZE MUHAMMAD MUSTAFA MILTA NAHEIN 

 AB CHIRAAGHE DIL JALAAKAR HO?SAKE TO DOON?DIYE
PARTAWE GHAUS-O RAZA-O MUSTAFA MILTAA NAHEIN 

AALIME SOZDAROON KIS SE KAHOON KIS SE KAHOON
CHAARA SAAZE DARDE DIL DARDE AASHINAA MILTA NAHEIN 

AALIMO KA MU?TABAR WO PESHAWAA MILTA NAHEIN
JO MUJAS?SAM I?LM THA WO KYA HUWA MILTA NAHEIN 

ZAAHIDO KA WO MUS?SALLAM MUQ?TADAA MILTA NAHEIN
JISPE NAAZAA ZAAHID THA WO PAARSAA MILTA NAHEIN 

FARO AFRAADE ZAMAAN WA? SHAYHK ASH SHAYAKE JAHAAN
KAAMILAANE DEHR KAAWO MUNTAHA MILTA NAHEIN 

ISTIQAAMAT KAAWO KOHA MUH?KAMO BAALA TERE
JISKE JAANE SE ZAMAANA HILGAYAA MILTA NAHEIN 

CHAARIYAARO KI ADAA-E JISME TE JALWANUMA
CHAARIYARO KA WO ROSHAN AAINA MILTA NAHEIN 

EKH SHAAKE GHUL NAHI SARAA CHAMAN? ANDOGHEEN
MUSTAFA KA ANDALEEBE KHUSHNAWA MILTA NAHEIN 

MUFTI-E-AZAM KA ZAR?RA KYA BANAA AKTHAR RAZA
MEHFIL-E ANJUM ME AKHTAR DOOSRAA MILTA NAHEIN 




YA GHOUS AL-MADAD
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

PEER-O KE AAP PEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD
AHLE SAFA KE MEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD

RANJO ALAM KASEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD
HUM AAJOZO ASEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD 

HUM KAYSE JEE RAHE HEH, YE TUM SE KYA KAHE
HUM HEH ALAM KE TEER, YA GHOUS AL-MADAD 

TERE NAZAR SE PHERDO, SARE ALAM KE TEER
KYA YE ALAM KE TEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD 

TERE HI HATH LAAJ HAI, YA PEER-E DASTAGEER
HUM TERE DASTAGEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD

KIS DIL SE HO BAYANEE, BEDADE ZAALIMA
ZALEEM BARE SHAREER HEH, YA GHOUS AL-MADAD 

AHLE SAFA NE PAAIE, TUMSE RAHE SAFA
SAB TUMSE MUSTANEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD 

SADQA RASOOL-E PAAK KA, JHOLI MEIN DAALDO
HUM QADRI FAKEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD 

DIL KI SUNAA-E AKHTAR, DIL KI ZABAN MEIN
KEHTE YEH BEHTANEER HEH, YA GHOUS AL-MADAD




CHALDIYE TUM AANK ME ASHKO KA DARYAA CHOR KAR
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

CHAL DIYE TUM AANKH MAI ASHKON KA DARYAA CHHOR KAR
RANJE FURQAT KA HAR IK SEENE MAI SHOLAH CHHOR KAR

LAZZATE MEY LE GAYAA WOH JAAMO MEENA CHHOR KAR
MERA SAAQI CHAL DIYA KHUD MEY KO TISHNA CHHOR KAR

HAR JIGAR MAI DARD APNA MEETHA MEETHA CHHOR KAR
CHAL DIYE WOH DIL MAI APNA NAQSHE WAALA CHHOR KAR

AALAME BAALAA MAI HAR SOO MARHABA KI GOONJ THI
CHALDIYE JAB TUM ZAMAANE BHAR KO SOONA CHHOR KAR

MAUT AALIM SE BANDHI HAI MAUTE AALAM BE GUMAA
ROOHE AALAM CHALDIYA AALAM KO MURDAH CHHOR KAR 

MUTTAQEE BAN KAR DIKHAA`E IS ZAMAANE MAI KOI
EK MERE MUFTI-E-AAZAM KA TAQWA CHHOR KAR

KHWAAB MAI AAKAR DIKHAAO HUM KO BHI AI JAAN KABHI
KAUN SI DUNYA BASAA`EE TUM NE DUNYA CHHOR KAR

EK TUM DUNYA ME REH KAR TAARIKE DUNYA RAHE
REH KE DUNYA MAI DIKHAA`E KOI DUNYA CHHOR KAR

US KA AI SHAAHE ZAMAN SAARAA ZAMAANAH HO GAYA
JO TUMHARA HO GAYAA SAARAA ZAMAANAH CHHOR KAR

RAHNUMAA`E RAAHE JANNAT HAI TERA NAQSHE QADAM
RAAHE JANNAT TEH NA HOGEE TERA RASTAH CHHOR KAR

HO SAKE TO DEKH AKHTAR BAAGHE JANNAT ME USSE
WOH GAYAA TAARON SE AAGE AASHIYAANAH CHHOR KAR




MUNAWWAR MERI AANKHON KO MERE SHAMSUD DUHAA KAR DEIN
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

JAHAAN BAANI ATAA KARDEIN BHARI JANNAT HIBAH KAR DEIN
NABI MUKHTAAR-E-KUL HEIN JIS KO JO CHAAHE ATAA KAR DEIN

JAHAAN MEIN UNKI CHALTI HAI WOH DUM MAI KYA SE KYA KAR DEIN
ZAMEEN KO AASMAAN KAR DEIN SURAIYYAA KO SARAA KAR DEIN

FIZA MEIN URNE WAALE YOON NA ITRAA`E NIDA KAR DEIN
WOH JAB CHAAHE JIS-SE CHAAHE US-SE FARMAA RAWAA KAR DEIN

MERI MUSHKIL KO YOON AASAAN MERE MUSHKIL KUSHAA KAR DEIN
HAR IK MAUJE BALAA KO MERE MAULA NAA KHUDA KAR DEIN

ATAA HO BEKHUDI MUJH KO KHUDI MERI HAWA KAR DEIN
MUJHE YOON APNI ULFAT MEIN MERE MAULA FANAA KAR DEIN

JAHAAN MEIN AAM PAIGHAAM-E-SHAHE AHMAD RAZA KAR DEIN
PALAT KAR PEECHHE DEKHEN PHIR SE TAJDEED-E-WAFAA KAR DEIN

NABI SE JO HO BEYGAANA USSE DIL SE JUDA KAR DEIN
PIDAR MAADAR BIRAADAR MAAL-O-JAAN UN PAR FIDAA KAR DEIN

MUNAWWAR MERI AANKHON KO MERE SHAMSUD DUHAA KAR DEIN
GHAMON KI DHOOP MEIN WO SAAYA-E-ZULFE DOTAA KAR DEIN

KISI KO WOH HANSAATE HEIN KISI KO WOH RULAATE HEIN
WOH YOON HI AAZMAATE HEIN WOH AB TO FAISLAH KAR DEIN

GILE TAYBAH MAI MAL JAAOON GULON MAI MIL KE KHIL JAAOON
HAYAATE JAAWIDAANI SE MUJHE YOON AASHNAA KAR DEIN

UNHEIN MANZOOR HAI JAB TAK YEH DAURE AAZMAAISH HAI
NAH CHAAHEIN TO ABHI WOH KHATM DAUR-E-IBTILAA KAR DEIN

SA`GE AAWAARA-E-SEHRAA SE UKTAA SI GA`EE DUNIYA
BACHAAO AB ZAMAANE KA SAGAAN-E-MUSTAFA KAR DEIN

MUJHE KYA FIQR HO AKHTAR MERE YAAWAR HAI WOH YAAWAAR
BALAAON KO JO MERI KHUD GIRAFTAARE BALAA KAR DEIN




SHAHENSHAAHE DO AALAM
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

SHAHENSHAAHE DO AALAM KA KARAM HAI
MERE DIL KO MAYASSAR UNKA GHAM HAI

YAHEEN REHTE HAIN WOH JAANE BAHAARAAN
YEH DUNYA DIL KI RASHKE SAD IRAM HAI

BHALA DAAWE HAIN UNSE HUM SARI KE
SARE ARSHE BAREEN JIN KA QADAM HAI

YEH DARBAARE NABI HAI JIS KE AAGE
NA JAANE ARSHE AAZAM KAB SE KHAM HAI

TARAS KHAAO MERI TISHNAH LABI PAR
MERI PYAAS AUR YEH IK JAAM KAM HAI

DILE BETAAB KO BEHLAAOON KAISE
BARHE GI AUR BETAABI SITAM HAI

YAHAAN QAABU MEIN RAKHNA DIL KO AKHTAR
YEH DARBAARE SHAHENSHAAH-E-UMAM HAI 




TUM CHALO HUM CHALEIN
 by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

TUM CHALO HUM CHALEIN SAB MADEENE CHALEIN
JAANIBE TAIBAH SAB KE SAFEENE CHALEIN

MAIKASHON AAO AAO MADEENE CHALEIN
BAADA-E-KHULD KE JAAM PEENE CHALEIN

JEE GA`E WOH MADEENE MEIN JO MAR GA`E
AAO HUM BHI WAHAAN MAR KE JEENE CHALEIN

ZINDAGI AB SARE ZINDAGI AAGAEE
AAKHRI WAQT HAI AB MADEENE CHALEIN

UNKI SHAANE KARAM KI KASHISH DAYKHIYE
KAASAH LAY KAR KAHA KHUSRAWEENE CHALEIN

RAAHE TAIBAH MEIN JAB NAATAWAAN REH GA`E
DIL KO KHEENCHA KAHA BE KALEE NE CHALEIN

KHAAKE TAIBAH MEIN APNI JAGAH HO GAEE
KHOOB MUZDA SUNAAYA KHUSHEE NE CHALEIN

AGLE PICHHLE SABHI KHULD MEIN CHAL DIYE
ROZE MEHSHAR KAHA JAB NABEE NE CHALEIN

AKHTAR-E-KHASTAH BHI KHULD MAI CHAL DIYA
JAB SADAA DI USE MURSHIDI NE CHALEIN




TERE DAAMANE KARAM MEIN
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

TERE DAAMANE KARAM MEIN JISE NEEND AAGAEE HAI
JO FANAA NA HOGI AISEE USE ZINDAGI MILI HAI

MUJHE KYA PARI KISI SE KARUN ARZ MUDDA`AA MEIN
MERI LAU TO BAS UNHI KE DARE JOOD SE LAGI HAI

WOH JAHAAN BHAR KE DAATA MUJHE PHEIR DENGE KHAALI
MERI TAUBAH AY KHUDAA YEH MERE NAFS KI BADI HAI

JO PA`E SAWAAL AA`E MUJHE DEKH KAR YEH BOLE
ISE CHAIN SE SULAAO KE YEH BANDA-E-NABI HAI

MAIN MARUN TO MERE MAULA YEH MALAAIKA SE KEH DEIN
KOEE IS KO MAT JAGAANA ABHI AANKH LAG GAEE HAI

MAIN GUNAAHGAAR HOON AUR BARE MARTABON KI KHWAAHISH
TU MAGAR KAREEM HAI JO TERI BANDAH PARWARI HAI

TERI YAAD THAPKI DEKAR MUJHE AB SHAHAA SULAA DE
MUJHE JAAGTE HU`E YOON BARI DER HO GAEE HAI

AY NASEEME KOO-E-JAANA ZARAA SOO-E-BAD NASEEBAAN
CHALI AA KHULI HAI TUJH PE JO HAMAARI BEKASI HAI

TERA DIL SHIKASTAH AKHTAR ISI INTIZAAR MEIN HAI
KE ABHI NAWEEDE WASLAT TERE DAR SE AA RAHI HAI




AAJ KI RAAT 
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

AAJ KI RAAT ZIYAAON KI HAI BAARAAT KI RAAT
FAZLE NOU SHAAHE DO AALAM KE BAYAANAAT KI RAAT

SHABE MERAAJ WOH AWHAA KE ISHAARAAT KI RAAT
KOUN SAMJHAA`E WOH KAISI THI MUNAAJAAT KI RAAT

CHHAAEE REHTI HAI KHAYAALON MEIN TUMHAARI ZULFEIN
KOI MAUSAM HO YAHAAN REHTI HAI BARSAAT KI RAAT

DIL KA HAR DAAG CHAMAKTA HAI QAMAR KI SOORAT
KITNI ROUSHAN HAI RUKHE SHEH KE KHAYAALAAT KI RAAT

RUKHE TAABAANE NABI ZULFE MUAMBAR PE FIDA
ROZE TAABINDA YEH MASTI BHARI BARSAAT KI RAAT

RIND PEETE HAI TERI ZULF KE SAA`E MAI SADAA
KOI MAUSAM HO YAHAAN REHTI HAI BARSAAT KI RAAT

BULBULE BAAGHE MADEENAH KO SUNAA DAY AKHTAR
AAJ KI SHAB HAI FARISHTON SAY MUBAAHAAT KI RAAT




NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH (SALLAL LAAHU ALAIHE WASALLAM)
 by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

SADRE BAZME KASRAT YAA RASOOLALLAH
RAAZDARE WAHDAT YAA RASOOLALLAH
HAR JAHAAN KI REHMAT YAA RASOOLALLAH
BEHTAREENE KHALQAT YAA RASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH

SAAHIBE HIDAAYAT YAA RASOOLALLAH
CHHAAYA ABRE ZULMAT YAA RASOOLALLAH
NAATAWAA HAI UMMAT YAA RASOOLALLAH
KEEJIYE HIMAAYAT YAA RASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH

MAALIKE SHAFAA'AT YAA RASOOLALLAH
BEKASON KI TAAQAT YAA RASOOLALLAH
MEZBAANE UMMAT YAA RASOOLALLAH
EK JAAME SHARBAT YAA RASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH

DEED KE HON TAALIB JAB KHUDA SAY MOOSA
UNKO LANTARAANI KEHDE RAB TUMHAARA
PAR TUMHAARE RAB SAY TUM KO MERE MOULA
HAI PAYAAME WASLAT YAA RASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH

KARNA THAA KHUDA KO HUM PE AASHIKAARA
AAKHRI NABI HAI USKO SAB SAY PYAARA
KOEE BHI NABI HO PICHHLI UMMATON KA
TUM KO SAB PE SABQAT YAA RASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH

TUM KO JO BATAAEY APNE JAISA INSAAN
KOR CHASHM HAI WOH DO JAHAAN KE SULTAAN
DEV KA HAI BANDAH WOH ADOOWWE REHMAAN
JISKO TUM SAY NAFRAT YA ARASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH

DAHER MEIN HAI KYA SHEH TUM SAY JO NIHAAN HAI
TUM PAR HAALE AKHTAR BILYAQEEN AYAAN HAI
BUS MERI KHAMOSHI HI MERI ZUBAAN HAI
KYA KAROON SHIKAAYAT YAA RASOOLALLAH
NA'ARA-E-RISAALAT YAA RASOOLALLAH




MAST MA`E ALAST HAI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

MAST MA`E ALAST HAI WOH BAADSHAAHE WAQT HAI
BANDA-E-DAR JO HAI TERA WOH BE NIYAAZ BAKHT HAI
SALLE ALA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN

UNKI GADAA`EE KE TUFAIL HUM KO MILI SIKANDARI
RANG YEH LAA`EE BANDAGI OUJ PE APNA BAKHT HAI
SALLE ALA NABIYEINA SALLE ALAA MUHAMMADIN

GARDISHE DAUR YAA NABI WIRAAN DIL KO KAR GA`EE
TAAB NA MUJH MEIN AB RAHI DIL MERA LAKHT LAKHT HAI
SALLE ALA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN

GHUNCHA-E-DIL KHILAAIYYE JALWA-E-RUKH DIKHAAIYYE
JAAME NAZAR PILAAIYYE TISHNAGEE MUJH KO SAKHT HAI
SALLE ALA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN

AKHTAR-E-KHASTA TAIBAH KO SAB CHALE TUM BHI AB CHALO
JAZB SE DIL KE KAAM LO UTHO KE WAQT-E-RAFT HAI
SALLE ALA NABIYYENA SALLE ALA MUHAMMADIN




 PEE KE JO MAST HO GAYA
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

PEE KE JO MAST HO GAYA BAADA-E-ISHQE MUSTAFA
US KI KHUDAAI HO GAEE AUR WOH KHUDA KA HO GAYA
SALLE ALAA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN
SALLE ALAA SHAFIENA SALLE ALAA MUHAMMADIN

KEH DIYA QAASIMUN ANAA DONO JAHAAN KE SHAAH NE
YAANI DARE HUZOOR PE BATT TEE HEIN NEMATE KHUDA
SALLE ALAA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN
SALLE ALAA SHAFIENA SALLE ALAA MUHAMMADIN

ARSA-E-HASHR MEIN KHULI UNKI WHO ZULFEIN AMBAREEN
MEENAH WOH JHOOM KAR GIRA CHHAA`EE WOH DEKHI`E GHATAA
SALLE ALAA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN
SALLE ALAA SHAFIENA SALLE ALAA MUHAMMADIN

GARDISHE CHASME NAAZ MAI SADQE TERE YEH KEH TO DE
LE CHALO ISKO KHULD MEIN YEH TO HAMARA HO GAYA
SALLE ALAA NABIYYENA SALLE ALAA MUHAMMADIN
SALLE ALAA SHAFIENA SALLE ALAA MUHAMMADIN




 DARE AHMAD
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

DARE AHMAD PE AB MERI JABEEN HAI
MUJHE KUCHH FIKRE DO AALAM NAHEEN HAI

MUJHE KAL APNI BAKHSHISH KAA YAQEEN HAI
KE ULFAT UNKI DIL MEIN JAA GUZEEN HAI

BAHAAREIN YOON TO JANNAT MEIN HAIN LAAKHON
BAHAAREIN DASHTE TAIBAH PAR KAHEEN HAI

MAIN WASFE MAAHE TAIBAH KAR RAHA HOON
BALA SE GAR KOEE CHEEN BAR JABEEN HAI

ABAS JAANA HAI TO GHAIRON KI JAANIB
KE BAABE REHMATE REHMAAN YAHEEN HAI

GUNAAHGAARON NA GHABRAAO KE APNI
SHAFAA`AT KO SHAFI-UL-MUZNABEEN HAI

FARAIBE NAFS MEIN HAMDAM NA AANA
BACHE REHNA YEH MAARE AASTEEN HAI

DILE BETAAB SE AKHTAR YEH KEHDO
SAMBHAL JAA`E MADEENAH AB QAREEN HAI




 APNE DAR PE JO BULAAO
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

APNE DAR PE JO BULAAO TO BAHUT ACCHHA HO
MERI BIGRI JO BANAAO TO BAHUT ACCHHA HO

QAIDE SHAITAAN SE CHHURAAO TO BAHUT ACCHHA HO
MUJH KO APNA JO BANAAO TO BAHUT ACCHHA HO

GARDISHE DAUR NE PAAMAAL KIYA MUJH KO HUZOOR
APNE QADMON MEIN SULAAO TO BAHUT ACCHHA HO

YOON TO KEHLAATA HOON BANDAH MAIN TUMHAARA LEKIN
APNA KEH KE JO BULAAO TO BAHUT ACCHHA HO

GHAME PAIHAM SE YEH BASTI MERI WEERAAN HUEE
DIL MEIN AB KHUD KO BASAAO TO BAHUT ACCHHA HO

KAIF IS BAADA-E-GULNAAR SE MILTA HI NAHEEN
APNI AANKHON SE PILAAO TO BAHUT ACCHHA HO

TUM TO MURDON KO JILAA DETE HO MERE AAQA
MERE DIL KO BHI JILAAO TO BAHUT ACCHHA HO

JISNE SHARMINDAH KIYA MAHER-O-MAAHO ANJUM KO
IK JHALAK PHIR WOH DIKHAAO TO BAHUT ACCHHA HO

RO CHUKA YOON TO MAIN AURON KE LIYE KHOOB MAGAR
APNI ULFAT MEIN RULAAO TO BAHUT ACCHHA HO

YOON NA AKHTAR KO PHIRAAO MERE MAULA DAR DAR
APNI CHAUKHAT PE BITHAAO TO BAHUT ACCHHA HO




 DOOR AY DIL RAHEIN
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

DOOR AY DIL RAHEIN MADEENE SE
MOUT BEHTAR HAI AYSE JEENE SE

UNSE MERA SALAAM KEH DENA
JAAKE TU AY SABAA QAREENE SE

HAR GULE GULSITAAN MUATTAR HAI
JAANE GULZAAR KE PASEENE SE

YOON CHAMAKTE HAIN ZARRE TAIBAH KE
JAISE BIKHRE HUAY NAGEENE SE

ZIKRE SARKAAR KARTE HAIN MOMIN
KOI MAR JAA`E JAL KE KEENE SE

BAAR GAAHE KHUDA MEIN KYA POHNCHE
GIR GAYAA JO NABI KE ZEENE SE

PANJAE CHASHME NAAZ SE UNKI
MAIKASHON KA BHALAA HAI PEENE SE

IS TAJALLI KE SAAMNE AKHTAR
GUL KO AANE LAGE PASEENE SE




 WOH BARHTAA SAAYA-E-REHMAT CHALAA
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

WOH BARHTAA SAAYA-E-REHMAT CHALAA ZULFE MUAMBAR KA
HUMEIN AB DEKHNA HAI HAUSLAH KHURSHEEDE MEHSHAR KA

JO BE PARDAH NAZAR AAJAAEY JALWAH ROO-E-ANWAR KA
ZARAA SAA MUH NIKAL AAEY ABHI KHURSHEEDE MEHSHAR KA

ADABGAAHAIST ZERE AASMAAN AZ ARSH NAAZUK TAR
YAHAAN AATE HAI YOON ARSHEE KE AAWAAZAA NAHIN PAR KA

HAMAARI SAMT WOH MEHRE MADEENAH MEHERBAAN AAYA
ABHI KHUL JAAEGA SAB HAUSLAH KHURSHEEDE MEHSHAR KA

CHAMAK SAKTAA HAI TO CHAMKE MUQAABIL UN KI TAL'AT KE
HUMEIN BHI DEKHNA HAI HAUSLAH KHURSHEEDE MEHSHAR KA

RAWAA HO SALSABEELE ISHQE SARWAR MERE SEENE MAI
NA HO PHIR NAAR KA KUCHH GHAM NA DAR KHURSHEEDE MEHSHAR KA

TERA ZARRAH WOH HAI JIS NE KHILAAEY ANGINAT TAARE
TERA QATRAH WOH HAI JIS SE MILA DHAARA SAMANDAR KA

BATAANA THA KE NECHAR UN KE ZERE PAA MUSAKKHAR HAI
BANAA PATTHAR MAI YOON NAQSHE KAFE PAA MERE SARWAR KA

WOH ZAAHIR KE BHI HAAKIM HAI WOH BAATIN KE BHI SULTAAN HAI
NIRAALA TOORE SULTAANI HAI SHAAHO KE SIKANDAR KA

YEH SUNLEIN SAAYA-E-JISME PAYAMBAR DHOONDNE WAALE
BASHAR KI SHAKL MAI DEEGAR HAI WOH PEKAR PAYAMBAR KA

WOH ZILLE ZAATE REHMAAN HAI NABUWWAT KE MAHE TAABAAN
NA ZIL KA ZIL KAHEEN DEKHA NA SAAYA MAAHO AKHTAR KA




APNE RINDO KI ZIYAAFAT KEEJIYE
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

APNE RINDO KI ZIYAAFAT KEEJIYE
JAAME NAZZAARAA INAAYAT KEEJIYE

SAAQI-E-KAUSAR DUHAA'EE AAP KI
SOKHTAA JAANO PE REHMAT KEEJIYE

DEEJIYE MERI MUHABBAT KO HAWAA
IS TARAF CHASHME MUHABBAT KEEJIYE

QAIDE GHAM MAI KHUSH RAHOON MAI UMR BHAR
YOON GIRAFTAARE MUHABBAT KEEJIYE

KHUD KO BHOOLOON AAP KI ULFAT MAI MAI
MUJH KO YOON MAD'HOSHE ULFAT KEEJIYE

DAF'AH HO TAYBAH SE YEH NAJDEE BALAA
YAA RASOOLALLAH UJLAT KEEJIYE

MAANG LEEJE KHAAKE TAYBAH MAI JAGAAH
KHAAK MAI SAAMAANE ISHRAT KEEJIYE

UN PE MARNAA HAI DAWAAME ZINDAGI
MAUT SE PHIR KYON NA ULFAT KEEJIYE

JAAN LENE AAEY WOH JAANE JAHAAN
MAUT SE PHIR KAISE NAFRAT KEEJIYE

GHAUSE AAZAM AAP SE FARIYAAD HAI
DASTAGEERI MERE HAZRAT KEEJIYE

REHLATE AKHTAR KA HANGAAM AA GAYAA
SAAYA-E-REHMAT MAI RUKHSAT KEEJIYE




HAR NAZAR KAANP UTTHEGI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

HAR NAZAR KAANP UTTHEGI MEHSHAR KE DIN
KHAUF SE HAR KALEJA DEHEL JAAEGA
PAR YEH NAAZ UN KE BANDE KA DEKHENGE SAB
THAAM KAR UN KA DAAMAN MACHAL JAAEGA

MAUJ KATRAA KE HUM SE CHALEE JAAEGI
RUKH MUKHAALIF HAWAA KA BADAL JAAEGA
JAB ISHAARA KARENGE WOH NAAME KHUDA
APNA BERAA BHAWAR SE NIKAL JAAEGA

YOON TO JEETA HOON HUKME KHUDA SE MAGAR
MERE DIL KI HAI UN KO YAQEENAN KHABAR
HAASILE ZINDAGI HOGA WOH DIN MERA
UN KE QADMON PE JAB DUM NIKAL JAAEGA

RABBE SALLIM WOH FARMAANE WAALE MILE
KYON SATAATE HAI AI DIL TUJHE WASWASE
PUL SE GUZRENGE HUM WAJD KARTE HUWE
KAUN KEHTA HAI PAAOO PHISAL JAAEGA

AKHTARE KHASTAA KYON ITNA BECHAIN HAI
TERA AAQA SHEHENSHAAHE KAUNAIN HAI
LAW LAGAA TO SAHEE SHAAHE LAWLAAK SE
GHAM MUSARRAT KE SAANCHE MAI DHAL JAAEGA




 IS TARAF BHI IK NAZAR
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

IS TARAF BHI IK NAZAR MEHRE DARAKHSHAANE JAMAAL
HUM BHI RAKHTE HAI BOHAT MUDDAT SE ARMAANE JAMAAL

TUM NE ACCHHO PAR KIYA HAI KHOOB FAIZAAANE JAMAAL
HUM BADO PAR BHI NIGAAHE LUTF SULTAANE JAMAAL

IK ISHAARE SE KIYA SHAQ MAAHE TAABA AAP NE
MARHABA SAD MARHABA SALLE ALAA SHAANE JAMAAL

TERI JAABAKHSHEE KE SADQE AI MASEEHAA-E-ZAMAA
SANGREZO NE PARHAA KALMAA TERA JAANE JAMAAL

KAB SE BETHE HAI LAGAAEY LAW DARE JAANA PE HUM
HAAE KAB TAK DEED KO TARSE FIDAAYAANE JAMAAL

FARSH AANKHON KA BICHHAAO REH GUZAR ME AASHIQON
UNKE NAQSHE PAA SE HOGE MAZHARE SHAANE JAMAAL

MARKE MITTEE MAI MILE WOH NAJDIYON BILKUL GHALAT
HASB SAABIQ AB BHI HAI MARQAD MAI SULTAANE JAMAAL

GARMEE-E-MEHSHAR GUNAAHGAARO HAI BUS KUCHH DER KI
ABR BAN KAR CHHAAENGE GESOO-E-SULTAANE JAMAAL

KAR KE DAAWA HUMSAREE KA KAISE MUH KE BAL GIRAA
MIT GAYAA WOH JISNE KI TEWHEENE SULTAANE JAMAAL

HAASIDAANE SHAAHE DEEN KO DEEJIYE AKHTAR JAWAAB
DAR HAQEEQAT MUSTAFA PYAARE HAI SULTAANE JAMAAL




TUMHEIN JIS NE BHI DEKHA
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

TUMHEIN JIS NE BHI DEKHA KEH UTHA AHMAD RAZA TUM HO
JAMAALE HAZRATE AHMAD RAZA KA AAINA TUM HO

NAHI HAAMID RAZA HUM MAI MAGAR WAJHE SHAKEBAA'EE
KHUDA RAKKHE TUMHEIN ZINDAH MERE HAAMID NUMA TUM HO

TUMHAARE NAAM MAI TUMKO BUZURGEE KI SANAD HASIL
RAZA WAJHE BUZURGEE HAI RAZA-E-MUSTAFA TUM HO
TUMHAARE NAAM MAI YOON HAI RAZA-O-MUSTAFA DO JUZ
RAZA WAALE YAQEENAN MUSTAFA KE MUSTAFA TUM HO

HAYAATO MAUT WAABASTAA TUMHAARE DUM SE HE DONO
HUMAARI ZINDAGI HO AUR DUSHMAN KI QAZA TUM HO

YEH NOOREE CHEHRA YEH NOOREE ADAAEIN SUB YEH KEHTE HAI
SHABEEHE GHAUS HO NOOREE MIYAA HO AUR RAZA TUM HO

TUMHAARI RIF'ATON KI IBTIDAA BHI PAA NAHIN SAKTA
KE UFTAADA ZAMEEN HOON MAI BULANDEE KA SAMAA TUM HO

RAZA JOOYAANE RAB THAAME HUWE HAI ISLIYE DAAMAN
RAZA SE KAAM PARTA HAI RAZA-E-KIBRIYAA TUM HO

JANAABE MUFTI-E-AAZAM KE FAIZAANE TAJALLEE SE
SHABISTAANE RAZA MAI KHAIR SE AKHTAR RAZA TUM HO  




WAJ-HE-NISHAATE ZINDAGI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

WAJ-HE-NISHAATE ZINDAGI RAAHATE JAAN TUM HI TO HO
ROOHE RAWAANE ZINDAGI JAANE JAHAAN TUM HI TO HO

TUM JO NA THE KUCHH TO NA THA TUM JO NA HO TO KUCHH NA HO
JAANE JAHAAN TUM HI TO HO JAANE JINAAN TUM HI TO HO

TAAJE WAQAARE KHAAKIYAAN NAAZISHE ARSHO ARSHIYAAN
FAKHRE ZAMEENO AASMAAN FAKHRE ZAMAAN TUM HI TO HO

KIS SE KAROON BAYAANE GHAM KAUN SUNEY FUGHAANE GHAM
PAAOON KAHAAN AMAANE GHAM AMNO AMAAN TUM HI TO HO

ROOHO RAWAANE ZINDAGI TAABO TAWAANE ZINDAGI
AMNO AMAANE ZINDAGI SHAAHE SHAHAAN TUM HI TO HO

TUM HO CHARAAGHE ZINDAGI TUM HO JAHAAN KI ROSHNEE
MEHER-O-MAH-O-NUJOOM MAI JALWAH KUNAAN TUM HI TO HO

TUM HO QAWAAME ZINDAGI TUM SE HAI ZINDAGI BANEE
TUM SE KAHEY HAI ZINDAGI ROOHE RAWAAN TUM HI TO HO

TUM HO NAMOODE AWWALEEN SHAM-E-ABAD BHI HO TUM HI
SHAAHE ZAMAN YAHAAN WAHAAN SIKKAH NISHAAN TUM HI TO HO

AKHTAR KI HAI MAJAAL KYA MEHSHAR MAI SAB HI DAM BAKHUD
SAB KI NAZAR TUM HI PE HAI SAB KI ZUBAAN TUM HI TO HO




 HAMAARE BAAGHE ARMAAN MAI
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

HAMAARE BAAGHE ARMAAN MAI BAHAARE BE KHIZAAN AAYE
KABHI JO IS TARAF KHANDAH WOH JAANE GULSITAAN AAYE

WOH JAANE YOOSUF AA JAAYE AGAR MERE TASAWWUR MAI
KHUDA RAKKHE WOHI KHINCH KAR BAHAARE DO JAHAAN AAYE

KOI DEKHE MERI AANKHON SE YAH AIZAAZ AAQA KA
SALAAMI KO DAR-E-HAZRAT PE SHAAHE QUDSIYAAN AAYE

JAMAALE ROO-E-JAANAAN DEKH LOON KUCHH AISA SAAMAAN HO
KABHI TO BAZME DIL MAI YAA KHUDA AARAAME JAAN AAYE

ILAAHI APNI SATTAARI KA TUJH KO WAASTAH SUN LEY
SARE MEHSHAR NA BANDE KA GUNAAH KOI AYAAN AAYE

KARAM SE IS KAMEENE KI BHI MAULAA LAAJ RAKH LENA
TERA AKHTAR TERE SAAYE MAI SHAAHE DO JAHAAN AAYE




SHUJAA`AT NAAZ KARTI HAI 
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

SHUJAA`AT NAAZ KARTI HAI JALAALAT NAAZ KARTI HAI
WOH SULTAANE ZAMAN HAIN UN PE SHOUKAT NAAZ KARTI HAI

SHAHE KHOOBAAN PE HAR KHOOBI-O-KHASLAT NAAZ KARTI HAI
KAREEM AISE HAIN WOH UN PAR KARAAMAT NAAZ KARTI HAI

JAHAANE HUSN MEIN KUCHH YOON NIRAALI SHAAN HAI UNKI
NABI KE GUL PE GULZAARON KI ZEENAT NAAZ KARTI HAI

SHAHENSHAAHE SHAHEEDAAN HO ANOKHI SHAAN WAALE HO
HUSAIN IBNE ALI TUM PAR SHAHAADAT NAAZ KARTI HAI

BITHA KAR SHAANA-E-AQDAS PE KARDI SHAAN DO BAALA
NABI KE LAADLON PAR HAR FAZEELAT NAAZ KARTI HAI

FIDAAEE HOON TO KISKA HOON KOI DAYKHE MERI QISMAT
QADAM PE JIS HASEEN KI JAANE TAL`AT NAAZ KARTI HAI

KHUDA KE FAZL SE AKHTAR MAIN UNKA NAAM LEWA HOON
MAIN HOON QISMAT PE NAAZAN MUJH PE QISMAT NAAZ KARTI HAI

BAAGHE TASLEEM-O-RAZA MEIN GUL KHILAATE HAIN HUSAIN
YAANI HANGAAME MUSEEBAT MUSKURAATE HAIN HUSAIN

BARQE AALAM SAUZ KA AALAM DIKHAATE HAIN HUSAIN
MUSKURA KAR QIL`AA BAATIL KA GIRAATE HAIN HUSAIN

MARZIYE MAULA KI KHAATIR HAR SITAM KO SEH LIYA
KIS KHUSHI SE BAARE GHAM DIL PAR UTHAATE HAIN HUSAIN




MUFTI-E-AAZAME DEENE KHAIRUL WARAA  
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

MUFTI-E-AAZAME DEENE KHAIRUL WARAA
JALWA-E-SHAANE IRFAANE AHMAD RAZA

DEEDE AHMAD RAZA HAY TUMHEIN DAYKHNA
ZAATE AHMAD RAZA KA HO TUM AAINAH

NOOR KI MAI PILAATE HAIN YEH ROZO SHAB
JIS KO PEENA HO AA`E YEH MAIKHAANA WAA

AHMADE NOORI KE HAIN YEH MAZHAR TAMAAM
YEH HAIN NOORI MIYAAN NOORI HAR HAR ADAA

HAIN BAHUT ILM WAALE BHI AUR PEER BHI
AANKHON DEKHA NA UNSA NA KAANON SUNA

UNKA SAAYAH SARON PAR SALAAMAT RAHE
MUH SARAATE RAHE YOON HI DUSHMAN SADAA

WOH JALEINGE HAMESHA JO TUJH SE JALEIN
MAR KE BHI DIL JALON KO NAH CHAIN AA`E GA

AASHIQON KE JIGAR UNSE THANDE RAHEIN
DUSHMANON PAR RAHEIN BAN KE SHAKLE QAZAA

AUR HONGE JINHEIN TUJH SE LAALACH HO KUCHH
TERE AKHTAR KO KAAFI HAI TERI RAZA




 MAR KE JEENE KA
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

MARKE JINE KA PAOON MAZAA KHER SE
RAAHE TAIBAH MEIN AAYE KAZAA KHER SE

MUJH KO UN KA ISHAARA MILA KHER SE
MEIN MADEENE KI JAANIB CHALA KHER SE

KIJIYE MERE HAQ MEIN DUA KHER SE
KHAAKE TAIBAH MEIN HO MERI JAAN KHER SE

KHOOB GUZRENGE SUB HO MASA KHER SE
UNKE DAR PAR JO BISTAR JAMAA KHER SE

UNKE DAR PAR JAMAA BISTARAA KHER SE
CHEIN SE HUM RAHENGE SADAA KHER SE

YEH UTHI MOJE BEHERE ATAA KHER SE
YAA WOH BATT TE KARAM US DAWAAN KHER SE

AAM HAIN UNKA FAIZE SAKHA KHER SE
UNKE DAR PAR HE SHAAHO GADA KHER SE

IBTIDA KHERSE INTIHA KHER SE
KAAM APNA YAHAN HO GAYA KHER SE

SHAAM SE HUM KO TAIBAH MEIN NEEND AA GAYI
ZINDAGI KA SAWERA HUWA KHER SE

KHAAKE TAIBAH KO PAAKAR HU MEIN SHAADMA
MERA AKHTAR DARAKHSHA HUWA KHER SE




MERE ALLAH KE NIGAAR (SALAAM)
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

MERE ALLAH KE NIGAAR SALAAM
DASTE QUDRAT KE SHAAHKAAR SALAAM

DONO AALAM KE TAAJDAAR SALAAM
JAANE HAR JAANO JAANDAAR SALAAM

KHAAKE TAIBAH BANE MERI HASTI
ARZ KARTA HAI KHAAKSAAR SALAAM

PHIR MADINE MEIN KAB BULAAO GE
TUM SE KEHTA HAI INTIZAAR SALAAM

MUJH KO ZAALIM PE IKHTIYAAR NAHEEN
TUM TO RAKHTE HO IKHTIYAAR SALAAM

KHULD KEHTI HAI YEH MADEENE SE
TUJH PE AY KHULD KI BAHAAR SALAAM

APNI ULFAT KAA AISA JAAM PILA
JISKA BARHTA RAHE KHUMAAR SALAAM

DARDE ULFAT MEIN DE MAZAA AISA
DIL NA PAA`E KABHI QARAAR SALAAM

TERI KHAATIR ZALEEL HONA HAI
MERI IZZAT MERE WAQAAR SALAAM

APNE AKHTAR KA LO SALAAM SHAHAA
TUM PE AY JAAN AY QARAAR SALAAM




 MUSTAFA-E-ZAATE YAKTAA AAP HAIN
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

MUSTAFA-E-ZAATE YAKTAA AAP HAIN
YAK NE JISKO YAK BANAAYA AAP HAIN

EIK NE SHIRKAT NA RAKKHI EIK MEIN
EIK KI EEJAADE YAKTAA AAP HAIN

AAP JAISA KOEE HO SAKTA NAHEEN
APNI HAR KHOOBI MEIN TANHAA AAP HAIN

AAB-O-GIL MEIN NOOR KI PEHLI KIRAN
JAANE AADAM JAANE HAWWAA AAP HAIN

AAP KI ROOYAT HAI DEEDAARE KHUDA
JALWAH GAAHE HAQ TA`AALA AAP HAIN

AY GULE ZAIBAA-E-GULZAARE KHALEEL
JISNE HAR GULSHAN SAJAAYA AAP HAIN

AAP KI TAL`AT KO DAYKHA JAAN DI
QABR MEIN POHNCHA TO DAYKHA AAP HAIN

APNE DAR TAK AAP MUJH KO KHEENCH LEIN
NAATAWAAN HOON MAIN TAWAANA AAP HAIN

AAP KI TAL`AT KHUDA KA AAINA
JIS MAI CHAMKE HAQ KA JALWAH AAP HAI

AAP KI KHAATIR BANAAEY DO JAHAAN
APNI KHAATIR KYA BANAAYA AAP HAI

AAP SE KHUD AAP KA SAAIL HOON MAI
JAANE JAAN MERI TAMANNA AAP HAI

AAP SE PHELI JAHAAN MAI ROSHNEE
HAR CHARAAGHE AALAM AARAA AAP HAI

HUSNE AWWAL KI NAMOODE AWWALEEN
BAZME AAKHIR KA UJAALA AAP HAI

KYON KAHOON BEKAS HOON MAI BEBAS HOON MAI
MERE YAAWAR MERE MAULA AAP HAI

JAAN TUEE JAANA QARAARE JAAN TUEE
JAANE JAAN JAANE MASEEHA AAP HAI

BARDARAT AAMAD GADAA BEHRE SALAAM
HO BHALA AKHTAR KA DAATA AAP HAIN




WOH CHHAAEE GHATAA
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

WOH CHHAAEE GHATAA BAADAH BAARE MADEENAH
PI`EY JHOOM KAR JAAN NISAARE MADEENAH

WOH CHAMKA WOH CHAMKA MEENAARE MADEENAH
QAREEB AA RHAA HAI DAYAARE MADEENAH

NAHAA LEIN GUNAAHGAAR ABRE KARAM MEIN
UTHA DEKHI`E WOH GHUBAARE MADEENAH

KHUDA YAAD FARMA-E-SAUGAND-E-TAYBAH
ZAHE AZMATO IFTIKHAARE MADEENAH

NAHEEN JACHTI JANNAT BHI NAZRON MEIN UN KE
JINHEIN BHAA GAYA KHAAR ZAAR-E-MADEENAH

MERI JAAN SE BHI WOH NAZDEEK TAR HAIN
WOH MAULA-E-HAR BEQARAAR-E-MADEENAH

KAROON FIKR KYA MEIN GHAME ZINDAGI KE
MAIN HUN BANDA-E-GHAM GUSAARE MADEENAH

CHALA KAUN KHUSHBOO LUTAATA KE AB TAK
HAI MAHKI HUEE RAHGUZAAR-E-MADEENAH

BULA AKHTAR-E-KHASTA KO APNE DAR PAR
MAIN SADQE TERE SHEHER YAARE MADEENAH




FARISHTE JIS KE ZAA`IR HEIN
by Taajush SHari'ah, Shaykh Mufti Akhtar Raza QAdri Azhari

FARISHTE JIS KE ZAA`IR HEIN MADEENE MEIN WOH TURBAT HAI
YEH WOH TURBAT HAI JIS KO ARSHE AAZAM PAR FAZEELAT HAI

BHALAA DASHTE MADEENAH SE CHAMAN KO KOI NISBAT HAI
MADEENE KI FAZAA RASHKE BAHAARE BAAGHE JANNAT HAI

MADEENAH AISA GULSHAN HAI JO HAR GULSHAN KI ZEENAT HAI
BAHAARE BAAGHE JANNAT BHI MADEENE KI BADOLAT HAI

MADEENAH GAR SALAAMAT HAI TO PHIR SAB KUCHH SALAAMAT HAI
KHUDA RAKKHE MADEENE KO USI KA DAM GHANEEMAT HAI

JO MUSTAGHNEE HUWA UN SE MUQADDAR US KA KHAIBAT HAI
KHALEELULLAH KO HANGAAME MEHSHAR UN KI HAAJAT HAI

HUM HI KYA HAQ TA`AALA KO MADEENE SE MOHABBAT HAI
MADEENE KI MOHABBAT UNSE ULFAT KI ALAAMAT HAI

MADEENAH CHHOR KAR JANNAT KI KHUSHBOO MIL NAHIN SAKTI
MADEENE SE MOHABBAT HAI TO JANNAT KI ZAMAANAT HAI

YAHAAN BHI UN KI CHALTI HAI WAHAAN BHI UN KI CHALTI HAI
MADEENAH RAAJDHAANI HAI DO AALAM PAR HUKOOMAT HAI

ZAMEEN PAR WOH MUHAMMAD HAIN WOH AHMAD AASMAANON MEIN
YAHAAN BHI UN KA CHARCHAH HAI WAHAAN BHI UN KI MID`HAT HAI

DIKHAADE YAA ILAAHI WOH MADEENAH KAISI BASTI HAI
BARASTA HAR GHARI YAA RAB JAHAAN BAARAANE RAHMAT HAI

GADAAGAR HAI JO IS DAR KA WOHI SULTAANE QISMAT HAI
GADAA`EE IS DARE WAALA KI RASHKE BAADSHAAHAT HAI

MADEENAH CHHOR KAR SAIRE JINAAN KI KYA ZAROORAT HAI
WOH JANNAT SE BHI KHUSHTAR HAI WOH JEETE JEE KI JANNAT HAI

GHAZAB HI KAR DIYAA AKHTAR MADEENE SE CHALE AA`EY
YEH WOH JANNAT HAI JIS KI ARSH WAALON KO BHI HASRAT HAI

MADEENAH CHHOR KAR AKHTAR BHALAA KYON JAA`EY JANNAT KO
YEH JANNAT KYA HAR IK NEMAT MADEENE KI BADOLAT HAI



loading...

Comments