Urse Syeda Fatima Zahra Radiyallahu Anha Bint Malik e Jannat Hazrat Muhammad Mustafa ‎ﷺ

Urse Syeda Fatima Zahra Radiyallahu Anha Bint Malik e Jannat Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ


Youm E Wiladat: 20th Jamadi Ul Aakhir (Jamadi Ul Thani)
Youm E Wisal: 3rd Ramzan ul Mubarak


Tazkira Sayyeda Fatima Zohra
Tazkira Sayyeda Fatima Zohra by Qadri_S_Khan

Ummul Mominin Hazrat Sayyeda Khadijatul Kubra Radiyallahu Anha Farmati He Ke “Jab Sayyeda Fatima Zahra Radiyallahu Anha Mere Shiqame Paak Me Jalwagar Hui To Mujhe Kisi Qism Ki Giraani Mehsoos Nahi Hoti Thi Balke Sayyeda Fatima Radiyallahu Anha Mujhse Baate Kiya Karti Thi.”

Sahibe ‘Rouzatul Vaaizin’ Likhte He Ke Jab Sayyeda Fatima Zahra Radiyallahu Anha Apni Vaalida Majida Hazrat Sayyeda Khadijatul Kubra Radiyallahu Anha Ke Shiqame Paak Me Jalwa Farma Hui To Huzur Sayyed E Aalam Sallallahu Alayhi Va Sallam Ne Sayyeda Khadijatul Kubra Radiyallahu Anha Se Farmaya Ke, *“Ae Khadija (Radiyallahu Anha) ! Mujhko Roohul Amin Alayhissalam Ne Khabar Di He Ke Tumhare Shiqam Me Jo Sahabzaadi He Jab Ye Paida Ho Unka Naam ‘Faatima’ Rakha Jaae, Ke Ye Unka Nasli Naam He”.*
Fatima Ke Mana He “Paak, Paakiza, Ba Barkat, Bahot Khush Akhlaaq.”

Hazrat Anas Radiyallahu Anhu Farmate He Ke Huzur Sallallahu Alayhi Va Sallam Ne Farmaya Ke “Mene Apni Is Beti Ka Naam Fatima Is Liye Rakha He Ke Allah Ta’ala Ne Meri Is Beti Aur Is Se Mohabbat Rakhne Walo Ko Jahannam Se Aazad Farmaya He.”

Aapke Alqabaat Ki Mukhtasar Tashrih :-

Zahra:
Zahra Ke Mana He ‘Kali’, ‘Nihayat Khubsurat’
Allah Tabarak Va Ta’ala Ne Aapko Bahot Hi Zyada Husn O Jamal Ataa Farmaya Tha. Chunanche Hazrat Anas Bin Maalik Radiyallahu Anhu Farmate He Ke “Mene Apni Vaalida Majida Se Hazrat Sayyeda Fatima Zahra Radiyallahu Anha Ke Muta’alliq Puchha To Farmaya Ke” “Sayyeda Fatima (Radiyallahu Anha) Choudhvi Raat Ke Chand Ki Tarah Hasin O Jamil Thi”

Tazkira Sayyeda Fatima Zohra
Alqaab: Zohra Design By Qadri_S_Khan


Batool:

Batool Ke Mana He ‘Duniya Se Be Ta’alluq’
Chunke Aapki Tavajjoh Duniya Aur Uski Aisho Ishrat Ki Taraf Nahi Thi Balke Har Waqt Allah Tabarak Va Ta’ala Ki Taraf Rahi He. Is Liye Aapko Batool Kehte He.

Taahira Va Zaakiya:

Taahira Va Zaakiya Ka Mana He ‘Paak Saaf’
Chunke Bachpan Hi Se Huzur Sallallahu Alayhi Va Sallam Ki Nazre Rehmat Aur Faizane Mohabbat Se Aapke Batin Ka Tazkiya Ho Chukka Tha Aur Aapko Zaahiri Va Batini Taharat Va Paakizgi Hasil Ho Chuki Thi. Is Liye Aapka Laqab Taahira Va Zaakiya Hua.


Raaziya Va Marziya:
Chunke Aap Har Waqt Allah Ta’ala Ki Raza Par Raazi Rehti Thi, Is Liye Aapko Raaziya Marziya Kehte He.


Aabida Va Zaahida:
Chunke Aapki Puri Zindagi Zohdo Ibadat Me Guzri, Isliye Aapko Zaahida Va Aabida Ke Laqab Se Yaad Kiya Jata He.

Bibi Fatimah Zahra Radiallahu Anha Ke Bare Me Hazrat Muhammad ﷺ Ka Farman:
Hazrat Zaaadan Radiyallahu Anhu Hazrat Suleman Radi allahu Anhu Se Rivayat Karte He Ke Allah Ke Pyare Habib Sallallahu Alayhi Va Sallam Ne Farmaya “Ae Suleman ! Yaad Rakho…”

Jo Koi Meri Beti Fatima Se Mohabbat Rakhega Bahisht Me Mere Sath Hoga Aur Jo Koi Uske Sath Dushmani Rakhega Wo Jahannam Me Jaaega.

Ae Suleman ! Meri Beti Fatima Ki Mohabbat 100 Jagah Nafaa Pahonchati He Un Jagaho Me Sahal (Aasaan) Maqamat Mout Aur Qabr Aur Mizaan Ur Pul Siraat Aur Hisaabe Qayamat He.

Jis Shakhs Se Meri Beti Fatima Khush Hogi Us Se Me Khush Hunga, Allah Ta’ala Bhi Us Se Khush Hoga Aur Jis Kisi Se Meri Beti Faatima Naraz Hogi Us Se Me Naaraz Hunga Aur Jis Se Me Naaraz Hu Allah Bhi Us Se Naaraz Aur Gazabnaak He.

Ae Suleman ! Aur Jo Shakhs Meri Beti Aur Uske Shohar Par Zulm Kare Ya Unki Aulad Par Zulm Kare Uske Liye Vel He, Halaakat Hi Halaakat He.

[Tazkira Sayyeda Khatoone Jannat]

Comments