Ramzan Mubarak Maslaa

RAMZAN UL MUBARAK

Mas'ala:

Sehri Khana Bhool Gaya Aur Der Se Utha To Ab Zahwe Kubra (Suraj Jab Theek Sar Pe Aajaye Aur Admi Ka Saya Uske Pairon Me Aajaye Use Zawal Ya Zahwe Kubra Aur Nisfun"Nahare Shari Kehte Hain) Se Pehle Niyyat Kar Le.
Zahwe Kubra Niyyat Ka Waqt Nahi Agar Khas Zahwe Kubra Ke Waqt Niyyat Ki To Roza Na Hua.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-394}

✏Mas'ala:

Jis Tarah Aur Jagah Bataya Gaya Ki Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zuban Se Kehna Shart Nahi Yahan Bhi Wahi Murad Hai, Magar Zaban Se Keh Lena Mustahab (Achcha) Hai, Agar Raat Me Niyyat Kare To Yun Kahe.
"Niyyat Ki Mai Ne Allah Ke Liye Is Ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhuga"
Agar Din Me Niyyat Kare To Yun Kahe,
"Mai Ne Niyyat Ki Allah Ke Liye Aaj Ramzan Ka Farz Rakhuga"
Niyyat Ke Alfaz Arbi Me Padhe.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-968}

✏Mas'ala:

Din Me Niyyat Karte Waqt Ye Kahe Ki Mai Subah Se Rozedar Hun Agar Ye Niyyat Kare Ki Ab Se Hun To Roza Na Hua.
{Bahar-E-Shariat, Volume-5, Page-968}

✏Mas'ala:

Raat Me Niyyat Ki Aur Kha Pee Liya To Niyyat Khatm Na Hui Pehli Niyyat Hi Kafi Hai, Phir Se Niyyat Zaroori Nahi, Bas Subhe Sadiq Se Guroobe Afatab Tak Na Khaye To Roza Bhi Ho Gaya.
{Alamgiri, Jild-1, Page-195}

✏Mas'ala:

Jis Tarah Namaz Me Baat Karne Ki Niyyat Kee Magar Baat Na Ki To Namaz Nahi Tooti, Isi Tarah Roze Me Roza Todne Ki Niyyat Se Roza Nahi Tootega Jab Tak Roza Todne Wali Chiz Na Kare.
{Bahar-E-Shariat , Volume-5, Page-969}

✏Mas'ala:

Ramzan Ke Har Roze Ke Liye Nai (New) Niyyat Zaroori Hai.
Pehli Ya Kisi Tarikh Me Poore Ramzan Ki Niyyat Ki To Ye Niyyat Sirf Usi Eik Din Ke Haq Me Hai Baqi Dino Ke Liye Nahi.
{Bahr-E-Shariat Volume-5, Page-969}

Comments