Maahe Ramzan Aur Hamari Khataye 01

*POST - 01*
====================
*MAH-E-RAMZAN or HAMARI KHATAYEIN*
====================
*Ramzan Allah Ta'ala Ka Naam Hai*

*Khata (Galati) No. 01*
==================
Lafz *Ramzan* Ke Baarey Mein Ulam-e-Mufas-sireen Ka Pehla Qaul Ye Hai Ke "Ye Allah Ta'ala Ka Naam Hai, Jis Tarah *Rehman* Allah Ta'ala Ka Naam Hai.

*HADIS or DALEEL*
#. Aye Musalmano, Yun Na Kaha Karo Ke Ramzan Aagay or Ramzan Chala Gaya, Balkey Aysa Kaho Ke Ramzan Ka Mahina Aagay Or Ramzan Ka Mahina Chala Gaya, Kyun Ramzan Allah Ka Naam Hai (1)

#. Aye Logo Sirf Ramzan Na Kaha Karo, Balkey Mah-e-Ramzan Kaha Karo, Kyun Ke Ramzan Allah Ke Namo Mein Ek Naam Hai (2)

📚📚📚
(1) Tafseer-e-Kabir, Vol-5, Page-91
Tafseer Rooh-ul-Bayan, Vol-3, Page-422

(2) Umda-tul-Qari, Fatah-ul-Bari, 
Ba-Hawala Hashiya Bukhari, Hissa-1, Page-255

*Mashwara*
Is Mahiney Ka Mukammal Adab Karein or Isko Adab Se Pukara Karein...

✔ Mah-e-Ramzan 
✔ Ramzan-ul-Mubarak,
✔ Ramzan Sharif
✔ Ramzan Ka Mahina
_________________________
❌ *Sirf RAMZAN Na Kahein* ❌
_________________________

*BA-ADAB BA-NASIB, BE-ADAB BADD-NASIB*

Comments